Friday, March 21, 2008

Elusive...

My spirit flutters its wings noisily, restless under the numerous chains of doubt hindering its flight. When can i break open the shackles which lie between me and unbounded freedom..estatic happiness..the mellow warm feeling of contentment and achievement..Aahh achievement..this word so elusive...its limits so deceptive..its expanse so far-stretched like the horizons of the sea..we grope around in the darkness to get a touch of its dazzling light...to hold the sense of achievement in our fist only to find it drifting away from our reach like clouds of smoke..why does the human spirit with its uninhibited enthusiasm seeks goals beyond its reach, spins brilliant dreams which make It feel exhasuted and subdued...why do we feel we can grow the wings of talent and labour to beat the mounting deadlines, to suppress the monotony, to race past all the bars placed on the track...only to find we are a lil past where we started.
Why does the light at the end of the tunnel look so alluring and unknown..why cant i find a reasonable goal for myself? why cant i find an unreasoanble one which will not look unworthy once i reach it?

I look at the setting sun from the lonely beach..where is the other end of the sea....Should I set sail in search of some other anchor? Or, should I take off for the night sky, to go pluck out the twinkling stars and sprinkle them over the water ripples...?

Can i come back to this safe known coastline?

4 Comments:

Blogger Ratnesh said...

May be or may not be. But, should it matter?

Cheers!!

10:48 AM  
Blogger Namrata said...

the last line completes the loop from where my post started..and highlights my cyclic thinking...the vicious circle of wanting to explore new heights and being scared of the unknown is the crux of the post...and the last line stamps it...everytime we wanna gain, we are scared of the risks and leaving our comfort zone..

2:49 AM  
Blogger Namrata Mishra said...

ahem ahem..do u even know what u mean :p

1:41 AM  
Anonymous Anonymous said...

madiraalay jaane ko ghar se, chaltaa hae peene waalaa
kis path se jaaoon asamanjas, mein hae woh bholaabhaalaa
alag alag path batalaate sab, par maen yeh batalaataa
hun raah pakad tu eka chalaachal, paa jaa aega madhushaalaa



sun kalkal chhalchhal, madhughat se girti, praanon mein haalaa
sun runjhun runjhun jal vitaran, karti madhusati baalaa
bas aa ponhche door nahin kutchh, chaar kadam ab chalna
hae behak rahe sun peene waale, mehak rahi le madhushaalaa

lal sura si dhaar lapatetee, keh na ise dena jwalaa
Yeh nil madira hae mat isko, keh dena ur ka chhaalaa
dard nashaa hae is madira ka, vigat smrutiyan saaqi hein
peeda mein aanand jise ho, aaey meri MADHUSHAALAA


dharm granth sab jalaa chuki hein, jiske bheetar ki jwalaa
mandir, masjid, girje sab kuchh, toade chuka jo matwaalaa
pandit, momin, padariyon ke, phandon ko jo kaat chuka
kar sakti hae aaj usi ka, swaagat meri MADHUSHAALAA



Laalaa in adharon se jisne, haay nahein choomi haalaa
harshit kampit kar se jisne, haay na chhuwaa madhu ka pyaalaa
haath pakad lajjit saaqi ka, paas nahein jisne kheenchaa
vyarth sukhaa daali jeevan ki, usne madhumaya MADHUSHAALAA.




bane pujaari premi saaqi, gangaajal pawan haalaa
rahe pherata avirat gati se, madhu ke pyaalon ki maalaa
aur liye jaa, aur piye jaa, isi mantra ka jaap kare
maen Shiv ki pratimaa ban baethun, mandir ho yeh MADHUSHAALAA.


aek baras mein aek baar hi jalti holi ki jwaalaa
aek bar hi lagti baazi, jagti deepon ki maalaa
duniya waalo kintu kisi din, aa madiraalaya mein dekho
din ko holi raat diwali, roze manati MADHUSHAALAA.




adharon par ho koee bhi ras, jiwha par lagti haalaa
han jag ho koee haathon mein, lagta rakkha hae pyaalaa
har surat saaqi ki surat, mein parivartit ho jaati
aankhon ke aage ho kuchh bhi, aankhon mein hae MADHUSHAALAA.



sumukhi tumhara sundar mukh hi, mujh ko kanchan kaa pyaalaa
chhalak rahi hae, jisme, maNik roop madhur maadak haalaa
maen hi saaqi banta maen hi, peene waala banta hun
jahan kahin mil baethe ham tum, vahin gaee ho MADHUSHAALAA


do din hee madhu mujhe pilaa kar, oob uthi saaqi baalaa
bhar kar ab khiska daetee hae, woh merae aage pyaalaa
naaz-o-adaa andaazon se ab, haae pilaanaa door huwaa
ab to kar detee hae kewal, farz-adaaee MADHUSHAALAA




chhote se jeevan mein kitnaa, pyaar karoon, pee loon haalaa
aane ke hi saath jagat mein, kahlaayaa jaane waalaa
swaagat ke hi saath bidaa ki, hoatee dekhee tayyaari
band lagee hone khulate hi, maeri jeevan MADHUSHAALAA.


shaant saki ho kab tak saaqi, pee kar kis ur ki jwaalaa
aur aur ki raTan lagaataa, jaataa har peene waalaa
kitni ichchhaaen, har jaane waalaa chhod yahan jaataa
kitne armaanon ki ban kar, qabra khadee hae MADHUSHAALAA.


Yam aaegaa saaqi ban kar, saath liye kaali haalaa
pee na hoash mein phir aaegaa, sura visudh yah matwaalaa
yah antim behoashi, antim saaqi, antim pyaala hae
pathik pyaar se peena isko, phir na milaegi MADHUSHAALAA.



girti jaati hae din prati-din, praNayani praNon ki haalaa
bhagna huwa jaata din prati-din, shubhage mera tan pyaala
rooTh raha hae mujhse roopasi, din din yauwan ka saaqi
sookh rahi hae din din sundari, meri jeevan MADHUSHAALAA.





maere adharon par ho antim, vastu na tulsidal pyaalaa
maeri jiwha par ho antim, vastu na gangaajal haalaa
maere shav ke peechhe chalne waalo, yaad ise rakhnaa
Ram naam hae satya na kehnaa, kehnaa sachchee MADHUSHAALAA




maere shav par vah roae ho, jiske aansoo mein haalaa
aah bhare voh ho jo surbhit, madiraa pee kar matwaalaa
daen mujhko ve kandha jinke, pag-mag-dag-mag hoate hoan
aur jaloon us Thaor jahan par, kabhi rahi ho MADHUSHAALAA

1:28 AM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home